Tuesday, August 14, 2018

Android Mobile Ka Pattern Lock Kaise Tode Ya Password Kaise Khole

Advertisement

Android Mobile Ka Pattern Lock Kaise Tode Ya Password Kaise Khole

Dosto ajkal mobile mei pattern lagakar bhool jana ek problem jaisi ho gayi hai  kyuki  hum log apne pattern kuch samay ke bad change karte hai jisse mobile ki privacy bani rahe par kayi bar aisa bhi hota hai ki ham pattern set karne ke bad khud hi pattern bhool jate hai. Agar aap bhi aisi problem ko face kar rahe hai to ab iss post ke dwara ham apki problem solve kar denge. Hum aapko ek simple tarike se mobile ka pattern lock todna ya password kholne ka tarika bata denge.

Dosto tecnology ke iss jamane mei apne personal data ko safe rakhna behad jaruri  rehta hai isliye apko  iske apne mobile ko lock rakhna padta hai aur agar ham apne android mobile ko lock karke pattern bhool gaye to iske liye ham mobile shop jana padta hai jnha mobile ko unlock karne ka hamse 300,400RS ka amount charge kar liya jata hai. Jabki android phone ko unlock karna bahut jyada mushkil nahi hota hai to aj ham apko iss post ke dwara batayenge ki android phone ko unlock kaise kar sakte hai jisse ham unlock karane ke charge se bach sakte hai. To aaiye jante hai ki ham khud kaise apne mobile ko unlock kar sakte hai.

Aapko btana chahenge android phone mei lock karne ke lagbhag 3 tarrike hote hai..

Pattern lockMath key lockEnglish keyword lock

Dosto ab aapko btana chahunga ki upar btaye gaye 3 lock mei differnce kya hai. Hum agar math key word ya english word ka lock apne android phone mei set karte hai to aur agar hum apna password bhool gaye hai aur kayi bar wrong paasword bhi enter kar dete hai to bhi mobile lock dead nahi hota. Aur agar hum pattern lock ki baat kare to ismei ye nahi hota ki agar hum apna password bhool jaye to kafi bar try try kar sakte hai ismei 3- 4 baar agar ham wrong password use kar dete hai to hamara android phone lock ho jata hai. Aur fir hame apne phone ko unlock karane ke liye computer shop pe lekar jana padta hai jnha par hamse 400-500 ka costly charge le liya jata hai. Jabki mai apko aisa tareeka btaunnga apne pattern ya lock ko unlock karne ka jissmei  internet ya google use karne ki bhi jarurat nahi padegi.

Important point:

Hame apne android mobile ko unlock karne ke liye sabse pahle reset ki process hoti hai.

Aur reset ki process karne se pahle mobile ki memory card nikalna na bhoolen aur yaad rakhe jab tak ful hard reset pura na ho jaye tab tak aap apne android phone ko na hi off kariye aur na hi mobile ki battery nikaliye aur agar aap galti se bhi aisa kar dete hai to  aapka phone dead ho sakta hai ar hamesa ke liye kharab ho sakta hai. Isliye hard reset karte samay iss baat ka jarur dhayan rakhe.

Android phone ke pattern ko unlock karne ka tareeka-

Jab aapka android mobile lock ho jaye to sabse pahle device ko off kar den jiss se proces ko shuru kiya ja saken.Ab apne android phone ke power on\off+volume down ke button ko ek sath dabaye. Aur in button ko kam se kam 10-15 second tak dabaye rakhe.Ab apke mobile mei ek fuction open ho jayega jaisa ki niche picture mei dikhayi de raha hai isi tarah ka option khulega..Ab apke mobile ke side mei volume ko kam aur jyada karne ka key hoga apko in dono  key mei volume kam karne wale key matlab down key ki help se wipe data/factory resetoption pe aakr power on/off  key ki help se apko ok key ko press karna hoga jisse next step apke mobile mei mei start ho jayegaAur ok prees karte hi aapka handset device reset hona shuru ho jayega aur reset hone par apke device ka jo bhi data raha hoga wo delete hokar apka android mobile open ho jayega.

Dosto mujhe puri tarah se yakeen hai ki iss post ko padhne ke baad aapki pattern ko unlock karne  ki problem khatam ho jayegi jisse aapko jo computer shop walo ko android mobile ke pattern ko unlock karne ke liye 300/400 rs charge dena padta tha wo ab apko charge nahi dena padega. Android mobile ke pattern ko kholne ke liye agar apko koi problem ho rahi hai to comment mei aap puch sakte hai…

Share This
Previous Post
Next Post

Pellentesque vitae lectus in mauris sollicitudin ornare sit amet eget ligula. Donec pharetra, arcu eu consectetur semper, est nulla sodales risus, vel efficitur orci justo quis tellus. Phasellus sit amet est pharetra

0 टिप्पणियाँ: